Tuesday, 7 June 2016

Android Mobile Me Apps Ya Game Kaise Hide Kare Janiye Hindi Me.

Hi friends 

bahut se log hai jo apne apps or game hide karna chahte hai. kisi ko batane nahi chahte. or kahi bar unke dost phone mang kar game khelte hai jisse ki unki battery low ho jaati hai. or vo game unistall kar dete hai. but ab aisa nahi hoga maine is problem ka solution dhund liya. to chaliye jaante hai.

Android mobile me apps ya games hide karne ke liye apko ek application Install karni padegi jiska name “NOVA LAUNCHER” hai.Ye launcher bahut badiya or fast hai. apke mobile ki looking bhi achhi bana deta hai bana deta hai.Nova Launcher ki sabse badiya jo baat hai isse mobile ke sare apps ya games bhi hide kar sakte hai.Aur apko apne mobile ko root karne ke bhi jarurat nahi hai.







Step by step jane kaise android mobile ma apps ya games hide karte hai:

1.Sabse pahle aap Nova launcher Install kare.Ye bilkul free hai.

2.Nova launcher open kare.Ab isse apne android device ka default launcher banaye.Default launcher banana ke liye mobile ka home button dabaye,Nova launcher select kare , Ab always pe click kare.

3.Ab home screen pe Option button click kare.

4.Ab Nova settings select kare5.Ab Drawer option pe jaye

6.Ab hide app pe click kare

7.Apko apke mobile ke sabhi apps dikh jayenge.Apko jis apps ko hide karna hai use select karle.Ab home button pe click kare Apps ya game hide ho chuke hai.Apps ya game ko unhide karne ke liye aap NOVA SETTINGS fir DRAWER me jaaye fir  HIDE APPS me jaye . Jis apps ko unhide karna hai use untick karde.Agar aap nova nahi use karna chahte hai toh playstore pe bahut sare apps hai jisse aap apne android device k apps ya games hide kar sakte hai.

Post achhi lagi comment and share jarur.


0 comments:

Post a Comment

Popular Posts