Monday, 9 May 2016

MOBILE KO HANG HONE SE ROKNE KE LIYE 1O KILLER TIPS

HI Friends
aajkal mobile hang hone ki problem sabhi logo ko hoti h jab bhi hm koi new mobile lene ki sochte h to sabse pahle ye dekhte h ki wo hang to nai hota ,aapka mobile hang na ho isliye mene es post me kuch tips diye h I hope ki wo aapko pasand aaye aajkal jyadatar log android mobile hi use me lete h or uski sabse badi yahi problem hoti h mobile hang hone ki


MOBILE KO HANG NA HONE DEN.... TIPS

Tip 1.sabse pahle to aapke mobile me jitne bhi  anti virus ke app h usko uninstall karde kyonki mobile inhi se hang hote h.

Tip 2.ab aapke mobile me jo app h jinko aap use nai krte hai.unko bhi uninstall kar de kyonki ye app aapki mobile ki storage ka badatejate h. aapko pata bhi nai chlta ki aapka mobile kyo hang ho raha h

Tip 3.kuch aise app h jinko hm apne mobile me install karke rakhna chahte h isliye unhe setting me jaker force stop kar de kyonki isse aapka mobile data bhi bina mtlb khrach hota h

Tip 4.or kuch apps ke data clear karte raho taki aapki storage bhi jyada n ho. mobile pr se jor hat jaaye.

Tip 5.agar aapne new mobile liya h to usme lagatar app install na Karen kyonki isse bhi mobile ki speed kam hoti h or wo kuch din baad apne aap hang hone lagta h

Tip 6.jyada tar log apne saree apps ko mobile storage me install karke rakhte h to isse RAM par bhi asar padta h isliye un sab app ko aap memory card me transfer kar le.

Tip 7.apne internal space ko clear rakhe , or memory card me bhi space rakhe kyonki kuch app aise bhi hote h jinke data par day + hote h jaise ki games whats app……..

Tip 8.agar aap internet use me lete h to mobile data on karne ke kuch der baad use use me le kyonki data on karte hi aapke mobile me notification aate h jaise ki whats app, hike, facebook inhe pahle pura aane de nahi to us time bhi aapka mobile hang hoga

Tip 9.apne mobile ko pc me connect karke scen jrur karte rahe kyonki kuch virus to pc se hi nikal jate h

Tip 10.agar aap high level ke browser use me lete h jaise ki google crome ,firefox  etc to unki history or data clear karte rahe kyonki isse bhi mobile jyada hang hota h

MOBILE  KO  1  MONTH 1 BAR JARUR  RESTOR  KAR  LE  TAKI  WO  REFRESH  HO  JAYE  OR  JYADA  HANG  NA  HO

Ye to normal tips h aage bhi me aapko isse bhi acchi achhi tips dunga agar aapko ye pasand aaye to comment jarur Karen
thanks

0 comments:

Post a Comment

Popular Posts